Shayad
Garm loo ke thhapedo sa yeh garmi ka pehar,
Samandar ki teh se utthti yeh toofaani lehar,
Khud ko jo chhupa loon to, guzar jaaye shayad.
Laakhon armaano se ye ret ke daane,
Jin se jud gaye rishte jaane anjaane,
Mutthi mein daba loon to, fisal jaayein shayad.
In eento mein saaf nazar aati yeh daraarein,
Aur taash ke patton si yeh dehti deewarein,
Do haath laga doon to, sambhal jaaye shayad.
Barf ki silliyon se sard ye patthar ki nazar,
Aur usme nazar aati kuch armaano ki kabar,
Do ashq giraa doon to, pighal jaaye shayad.

Labels: My Mess
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home